kadam insaan ka rahe duniya me tharra hi jata hai,
chale kitna hi koi bach k thokar kha hi jata hai,
najar ho kitni bhi parichit sangharshon ki duniya se
hujumekashmakash me aadmi ghabra hi jata hai,
khilafat apni duniya me samajhata hun mai bhi lekin
vo aaten hai to chehre pr tagaiur chha hi jata hai,
shikayat kyun ise kahte ho ye to fitarat hai insaan ki
musibat me khayale ase rafta aa hi jata hai,
samajhti hai ki murjha jayengi vo sham tak
lekin shahar hote hi kaliyon ko tabassum aa hi jata hai।
No comments:
Post a Comment